hii freinds,
jab hum naya pc lete hain aur usme window install karne ke baad apne
pasand ke software install karte hain to software ko find karne me badi
pareshani hoti hai. kaash aisa hota jo bhi software humein chahiye hota
fauran hum use run kar paate to kitna acha hota.....
lekin doston main apko bata dun ki aisa bilkul mumkin hai apko software
chalane ke liye kisi sofware ko download karne aur use install karne ki
zarurat nahi hai aap direct apne browser se sari application or
softwares run kar sakte hain bina kisi jhanjhat ke...sirf ek browser
plugin apko apne pc par install karna padega aur saare software honge
apko hathon me har dam..
bas aapko is website par jaana hai aur free me apna account banana hai...
spoon
sabse
pehle apna account banaiye fir plugin pc par install kijiye aur apps
gallery me jakar apne manpasand software ko run kar dijiye, ye bilkul
aise hi kaam karega jaise ki apke pc par karta hai.
ab agar aap ye puchenge ke isme kaun kaun se software hain to sorry
freinds main sabke naam nahi le sakta. because isme thousand of
softwares hain. kuch ke screen shot me yahan de raha hun aap khud dekh
lijiye..
aur
isme sirf software app nahi hai bahut sare mazedaar games bhi hain. to
der kis baat ki hai, khud ek baar try kijiye apko zarur maza aayega..
spoon
take care freinds.
No comments:
Post a Comment