Ho sakta hai apme se kuch log pehle se hi Teamviewer ke baare me jante
ho. kyunki bahut se log iska use karte hain jiski wajah se ispe likhne
ke liye kuch bacha nahi aur maine bhi is par koi post nhi di lekin abhi
kuch din pehle ek freind ne iske baare me batane ko kaha to maine socha
iske bare me thoda bahut to likha ja sakta hai.
Teamviewer ek aisa desktop sharing programme hai jiski help se aap
duniya me kisi bhi computer ko controll kar sakte hain bilkul aise jaise
aap apna computer operate karte hain aur sath hi audio video chat bhi
kar sakte hain. lekin ye hoga tabhi jab software dono taraf install ho.
bas ise download karne ke baad jab aap ise open karenge to wo apko id
aur password dikhayega. iska password har bar khud hi change hota rahega
jisse ye bilkul safe hai, ab jab bhi apko kisi computer se apna
computer connect karna ho to second party se uska id aur password puch
lijiye aur connect kar dijiye. fir apke samne apke partner ka desktop
dikhne lagega aur aap apne mouse se hi use control kar sakte hain.
ek baar use kijiye maine bhi kai baar apne freinds ki problem aise hi solve ki hain.
Teamviewer ki website par jane ki liye yahan click karein. ya fir yahan se download kar lijiye.
Teamviewer download karne ke liye yahan click karein(direct link)
take care freinds
No comments:
Post a Comment