Apko shayad maloom ho ki ek hackers group ne yahoo ke lagbhag 4.5 lakhs account hack kar liye hain. aisa pehle business social site linkedin ke sath bhi ho chuka hai.
sabse pehle main apko bata du agar apke pas koi unwanted mail aata hai
to use open mat kijiye. time to time apna password change karte rahein.
iske alawa agar kisi mail me apko koi offer diya gaya hai to us link
par bhi click mat kijiye aur apni personal information kisi se bhi share
karne se pehle ek bar achi tarah soch lein. Aur ye bhi yaad rakhiye
agar koi account hack hota hai to usme us account holder ki bhi kahi na
kahi galti zarur hoti hai. isliye koi galti mat kijiye.
Ab apne account ko verify karne ke liye is site
par jayein aur apna email address type karein jiske baad ye website
hacked ho chuke passwords se apka password match karegi aur apko
batayegi ki apka password safe hai ya nahi.
https://shouldichangemypassword.com/
take care freinds, be safe
No comments:
Post a Comment