Par usme pehle share karne ke liye apke paas backup file honi chahiye
agar backup nahi hoga to aapko backup create karna hoga. lekin jo tarika
main apko is post mein batane wala hu uske liye apko kisi bhi app ya
game ka backup lene ki zarurat nhi hogi aap direct kisi bhi application
ko share kar sakte hain.
Iske liye apko apne android mobile me ek choti si application download karni hogi. Jiska naam hai Bluetooth App Sender.
Aap ise Google Play Store se download kar sakte hain ye application free hai.
Upar link se download na ho to mobile mein Play store open karke usme Bluetooth App Sender name se search kijiye.
Is app ko use karna bahut easy hai bas app ko launch karte hi apke
mobile ki sari apps wahan dikhayi dengi. Ab jis file ko aap share karna
chahte ho us par touch kijiye aur apko send ka option dikh jayegi. so
simple
So friends make sharing more easy & Take care yourself.
No comments:
Post a Comment