Windows 8 launch ho chuki hai agar aap bhi apne computer machine mein
ise install karna chahte hain to apko bootable DVD ya fir bootable usb
drive ki zarurat hogi. is post me aap step by step dekh sakte hain ke
kis tarah DVD ya USB drive ko bootable banaya jaye.
1. sabse pehle Windows 8 ki iso image yahan se downoload kijiye.
2. Uske baad yahan se
Windows 7 USB/DVD tool download kijiye. ye microsoft ki ek free
application hai jo windows(xp,vista,7) ke sath hi kaam karti hai.
3. download karne ke baad is application ko install kijiye.
4. Install hone ke baad ise open kijiye aur first step mein jo iso file
download ki thi use browse kijiye aur next par click kijiye.
5. Ab Agar aap bootable DVD banana chahte hain to DVD par aur agar USB
bootable banana chahte hain to USB device par click kijiye.
6. Ab agar aap DVD bana rahe hain to ek blank DVD insert kijiye aur Begin burning par click kijiye.
7. Ab kuch hi der mein apki bootable DVD ban jayegi jisse aap kisi bhi system me windows 8 install kar sakte hain.
take care freinds
No comments:
Post a Comment