Multimedia mobile phones ki wajah se digital cameras market se out hote jaa rahe hain aur abhi pichle dino hi maine padha ke
KODAK jo ki Camera world me ek jana pehchana naam hai insolvent ho chuki hai.
Ab jabki mobile phones me zyada
megapixels,
better quality lenses,
storage space,
resolution,
video capabilities aur
flash
jaise facilities mil rahi hain to koi bhi digital cameras ko prefer
nahi karta. lekin bahut se log sochte hain ki mobile se ache photos nahi
liye ja sakte jabtak usme
8 ya
16 megapixels camera aur flash na ho. Par main apko batana chahta hu agar apke paas
3 ya
5 megapixels ka camera phone hai to wo ache photos lene ke liye kafi hai. Bas ek baat dhyan rakhiye ke
"sabse acha camera wo hai jo apke paas hai."
Main agar apni baat karu to mere paas koi digital camera nahi hai lekin
main jab bhi apne aapko kisi aisi situation me paata hu ke mujhe koi
scene frame me lena hai to main simply apne
NOKIA C5-03 se photos capture kar leta hu jisme
5 Megapixels
camera hai. Ache photos ache camera ki wajah se nahi balki ache
photographer ki wajah se aate hain. aur mujhe apne photos ki quality ka
koi dar nahi hota kyunki main janta hu photos main khud shoot kar raha
hu.
To ab baat karte hain ke kis tarah ek less megapixel camera se ache
photos liye ja sakte hain. bas kuch batein hain jinhe dhyan me rakhkar
aisa kiya ja sakta hai.
1. Settings- Kabhi
bhi Mobile camera ki default settings se photo mat lijiye. settings apne
hisab se kijiye. Flash ki agar zarurat nahi ho to use off rakhiye
kyunki kabhi kabhi zyada light ki wajah se photos ache nahi aate. agar
aap ghar ke andar hain ya raat ka waqt hai to flash ki zarurat hogi. fir
bhi main apko suggestion dunga ke ek hi situation me sabhi mode se
photos lekar check kijiye ke kis mode me photos ache aate hain aur
settings usi hisab se kijiye.
bahut se Mobile me camera resolution change karne ka option hota hai use hamesha maximum par hi set kijiye.
2. Lights-
Photography me light ka sabse main role hota hai, ya yun kahiye ke ye
sirf roshni ka hi khel hai. koi bhi photos lete waqt is baat ki sabse
zyada importance hai ke aapke chaaro taraf jo light hai use aap kis
tarah use karte hain. kisi bhi camera phone se ache photos roshni ke
bina nahi liye ja sakte.
photos shoot karte waqt hamesha dhyan rakhiye ke roshni camera ke piche
ho samne nahi. aur agar camera mein white balance feature hai to use
Auto mode par rakhiye.
3. Hold it seady-
Bahut se logo ko camera phone se ye shikayat hoti hai ke unke photos
blur yani dhundle ho jate hain. ye sab camera ki shutter speed slow hone
ki wajah se hota hai. ya aisa isliye bhi hota hai ki mostly mobile
camera me shutter sound aur actual click me kuch der ka fark hota hai.
aur in between agar camera hil jata hai to photos dhundle ho jate hain.
To jab bhi aap photo le rahe ho to camera ko bina hilaye pakadne ki
koshish karein aur click karne ke kuch second baad tak use aise hi pakde
rahein. iske liye aap kisi cheez ki support bhi le sakte hain jaise
kisi deewar ya table ki.
4. Avoid zooming in-
Sabhi camera phones mein mostly jo built in zoom hota hai wo optical na
hokar digital hota hai. isliye photo lete waqt camera ko zoom mat
kijiye kyunki wo actual mein zooming nahi hai.
Agar aap paas se kisi cheez ko capture karna chahte hain to zoom karne
ke bajaye khud paas jaiye. Aap chahe to baad me photo ko crop kar sakte
hain wo zyada better hai.
5. Experiment-
Mobile cameras apne mobility ki wajah se rakhna zyada easy ho jate hain.
ab kyunki ye aapki pocket me har waqt rehta hai to aap easily kisi bhi
jagah apni presentation remembring bana sakte hain. Ab ise aap kisi bhi
angle se pakad sakte hain kyunki grip fit hoti hai jisse aap kisi ki
knowledge me na aakar bhi photo le sakte hain.
bahut si jagah aisi hoti hain jahan aapko camera le jane ki permission
nahi hoti lekin aap chupchap apne camera phone se kisi ko bina bataye
bina position liye photo le sakte hain. aur mostly sabhi mobile cameras
me self timer hota hai to aap timer set karke use kahin bhi rakh ke
photos le sakte hain.
To freinds ab main samajhta hu aapke liye apne mobile camera se photography kuch intresting ho hi jayegi.
take care