Aisa
bahut baar hota hai jab hum koi external media jaise memory card ya fir
pendrive system me lagate hain to usme se na hi kuch copy hota hai aur
na hi usme koi file copy kar pate hain aur aapke samne write protection
ka error message aa jata hai. aisi condition me aap external media drive
ko format bhi karna chahenge to wo nahi hogi.
iska bahut hi asaan sa solution hai bas aap mere sath rahiye aur dekhiye kaise ye problem hamesha ke liye door hoti hai.
sabse pehle niche diya hua sara code notepad me copy kijiye aur use
.bat extension me save karke ek batch file banaiye. maine ise
merge.bat naam se save kiya hai.
ab is batch file par double click kijiye jisse ye file registry me merge ho jaye.
Jo log batch file nahi bana paa rahe hain wo
yahan se file download kar sakte hain.
Iske baad
start button par jaiye. Run par click kijiye, wahan
regedit type kijiye aur enter press kijiye.
Ab yahan jaiye
HKEY_LOCAL_MACHINE > SYSTEM > CurrentControlSet > Control > StorageDevicePolicies
Jab aap
StorageDevicePolicies par click karenge to right side me
WriteProtect(blue) value aayegi, is par double click kijiye, iski value ko
0 kar dijiye aur
OK par click kijiye.
Ab apne system ko restart kar dijiye. aisa karne se koi error mesage aapko pareshan nahi karega.
take care friends stay tuned.